Sunday, July 10, 2011

Yaarmi Raksam


Junoon-e-ishq me karte hai paishe yaar miraksam
Zamaana rok na paaya sar-e-bazaarmi raksam

Ye maqbool ibaadat hai ibaadat ka tarika bhi
Tumhara zikr karna aur tawaf-e-yaarmi raksam

Na kaabe se garz hum ko na boot khane se kuch matlab
Dayaare dil me hota hai sadaa deedarmi raksam

Kataya sar ko sajde me Hussain Ibn-e-Ali ne jab
Pukaar uthi jabin karbalaa sardaarmi raksam


Peer Maroof


Sharaab-e-ishq nazro se pilaaya saaqiya jab se
Mahek utha ye saara maikada gulzaarmi raksam

Wajood Aadam-e-khaaki me hai sarre nahaa bankar
Bataya naam apna peer Fahemi yaarmi raksam

Samajh khud banke baithe hai samajh me aaye na Maroof
Tajassus khane me aate hai wo dildarmi raksam


Maroof Peer

No comments:

Post a Comment