Sunday, July 10, 2011

Khud Parasti Me



Khuda khud bas gayaa hai aake deewano ki basti me
Ye deewane na jaane kis jagah hai apni masti me

Khuda ko dhundne walo khuda walo ke ghar jaao
khuda masroof hai din raat ahl-e-dil ki basti me

Wo masjud-e-malaaik ko nikaala khuld se jisne
Ye waaiz zer karne ko chale hai isko hasti hai

Samandar maarefat ka hai hame dar ho nahi sakta
Chali hai nakhuda ki kashti ab wahdat parasti me

Nahi hilta koi patta siwaaye hukm ke unke
Is ibad'at se hai aabad saari galiyaa basti me

Jise sab shirk samjhe hai wahi hai shaan-e-tohidi
Khuda masti me hai din raat dekho khud parasti me

Dui ko khud mita kar to fana fillah hona hai
Ye mainee sikha hai Fehmi piya ki sarparasti me

Me khud sajde me khud saajid me khud hi zakir-o-mazkur
Ye kya bakwaas hai Maroof aisi maye parasti me


Maroof Peer



No comments:

Post a Comment