Kafir sanam ka chahera ye har aan samne hai
Shaan bataa me jalwa-e-rehmaan samne hai
Ka'aba kalesaa mandir wa aatish kadah sabhi
Ta'amir ek qalb hai irfaan samne hai
Masjid me ho azaan ya mandir me kuch bhajan
Dono makaan ka maalik sultaan samne hai
Roshan dimag wa dil hue in ke karam se aaj
Ma'eraj bandagi hai ye subhaan samne hai
Muddat se phir raha hu raheta hu apni dhun me
Jaane khuda kahaa hai ye insaan samne hai
Fikr-o-nazar ko masti ye Fahemi piya ne bakhshi
Sabr-o-karaar haasil imaan samne hai
Maroof peer Fehmi to hai Mazhar-e khuda
Parwaz-e-bekhudi hai to pahechaan samne hai
Peer Fehmi, Peer Maroof |
Assalamu allaikum hajrat. auliya abdal qalander qutb gaus kitne hain
ReplyDeleteAssalamu allaikum hajrat. auliya abdal qalander qutb gaus kitne hain
ReplyDelete