Peer Maroof, Peer Fehmi Ye zaahid to dero haram jante hai Khabar is ke aage ki hum jante hai Zara thehro sab bhed khul jayega Wo taare nafas ka bharam jante hai |
Peer Maroof |
Maroof Peer |
Kahan hai wo gaare hira hum ko batlao
Wo jibraeel par tha karam hum jante hai
Zamee se kitna safar la maka ka
Fakeer nafs har kadam jante hai
Ulajhna hai jis ko ulajh kar to dekho
Kya zero zabar pecho w kham jante hai
Tere chahne wale masti me aa kar
Teri be rukhi ko karam jante hai
Na kaafir na momin na Aarif na Zaahid
Makar ke ye phande sitam jante hai
Na chedo hame hum hai aashiq deewane
K hum to mizaaje zam jante hai
Hami se hai zaahir hami se hai baatin
Wo parda nashi ka bharam jante hai
Ye saare hi naqshe hai Fehmi piya k
Wo duniya me rehkar Adam jante hai
Haqeeqat hamari hai itni MAROOF
Ek katre me darya bahem jante hai
No comments:
Post a Comment