Sunday, July 10, 2011

Jashne peer Aadil

Sarkar Peer Adil Dome

Ghaus piyaa ke noore nazar Khwaja piyaa ke saaye
Mere soye bhag jagaye mere peer Aadil hai aaye

Allahu ka jaam sab ko nazro se pilaaye
Zikr-e nabi or Zikr-e- khuda se dam ko hai sajaaye
Bando ko ek pal me hi maulaa se milaye mere peer Aadil hai aaye

Ghar Ghar me ishq nabi ki shamma ko hai jalaaye
Murda  dil  murda  nafas  ko  pal  me  hai  jilaaye
 Ghaus piyaa ki nisbat se hum sab ko woh mehkaye mere peer Aadil hai aaye

Sabme mehenga sabme sasta peer ka maikhana
Peer ke haato me hai qudrat ka khazana
Peer ke kadmo me hi jaan ko lutaye mere peer Aadil hai aaye

Kon khuda hai kon nabi hai peer ne batlayaa
Raaze khafi ko raaze jali ko peer ne sunayaa
Peer ke hi sadqe me hum raaz ko hai paaye mere peer Aadil hai aaye

Peer nabi hai peer khuda hai peer hai kaaba kiblaa
Meem ki ghunghat me hai peer ka har jalwa
Peer ka jalwa hi ab dil ko hai lubhaye mere peer Aadil hai aaye

Kon khuda hai kaun juda hai nukte ko samjho
Takte ko takta nahi hai takte ko samjho
Nukte ka raaz ye peer hi bataye mere peer Aadil hai aaye

Shaher-e bijaapur me ye dhoom machi hai
Gumbad pe noor wali chadar ye tani hai
Mureed saare jhum ke aaj ye gaaye mere peer Aadil hai aaye

Sandal me pote ke apne karim-ul-allah aaye
Jashn-e chiraagaa karne ko Quadir allah hai aaye
Mehtaab Allah bete ka rutba badhaye hai mere peer Aadil hai aaye

Fehmi piya ke peer ki ye shaadi rachi hai
Poto me dhoom hai to beto me khushi hai
Saare mureed peer ki doli hai sajaaye mere peer Aadil hai aaye

Maroof apne dada ke sandal me chalenge
Peer mughaa ke rang me dil ko rangenge
har saal hum peer ka jashn manaaye mere peer Aadil hai aaye

Peer Adil & Mehtaballah

1 comment:

  1. Roshan huwa chiraagh ye ghar se
    qadeer ke jalta rahega saye mein peeraane peer ke

    ReplyDelete