Sunday, July 10, 2011

BISMILLAH


Maroof Peer
Shuru ‘Be’ se kalam Bismillah
Raz-e-haq ka muqaam Bismillah

Jo bhi dilse padega Bismillah
Is pe  dozak  haram Bismillah

Meri rag rag me hai nasha yaaro
Pee liya jabse jaam Bismillah

Baksh de baksh de mere maula
Mile jannat mukaam Bismillah

Mere maula tu sabko nek bana
Nek ho sab ke kaam Bismillah

“Be” se qaalu bala ko yad karo
Hai ye pehla kalam Bismillah

Kyu na uske banege bigde kaam
Jo pade subah-o-shaam Bismillah
Peer Maroof

Baa yazeed ko ye humne kahte suna
Aarifo ka hai naam Bismillah

Bheje mehboob par gulamo ne
Ho darud-o-salaam Bismillah
Peer Fehmi ke haato me mehshar me
Mile kausar ka jaam Bismillah

Dua dil se karo Maroof
Sab pe rehmat ho aam Bismillah

8 comments:

  1. Asslam walekum hazrat,
    is kalam ko suune ke baad ruh taaza ho gai,masha allah kya kalam hai hame aur sab ko samaj de is kalam ko samajhne ki.
    bahot hi khubsurat kalam hai,is kalam se kalam likhne wale ki pahoch ka andaza lagaya ka sakta subhanallah.

    ReplyDelete
  2. Be noqtaymay behad kiya hai. Meemkayuperpardakiyahai.

    ReplyDelete
  3. Assalamu alaikum rahmatullahi Barkat

    ReplyDelete