Sunday, July 10, 2011

Sandal Aagayaa hai


Hazrat Mehtaballah Shah Quadri R.A.

 

Mureed saare dhoom machaaye ishq-e-peer me gaaye ke sandal aagaya hai
Peer ka jalwa dil ko lubhaye peer se khud ko rangaaye ke sandal aagaya hai

Peer ka mukhda woh aankho me mere aise chaa gayaa
Noor nabi ka woh par tu ban ke aagaya
Peer ke darpe sar ko jhukaye  kyu na tann mann lutaye ke sandal aagaya hai

Allah nabi ka jalwa peer ke jalwe me zam huwaa
Dono jahaan me aisa pyaraa naa koi sanam huwaa
Aise peer ko jho bhi paaye kyu naa woh itraye ke sandal aagaya hai

Me hu poojari unka mere woh bhagwan hai
Saaso me urjaa banke rehte wahi to praan hai
Mann ka mandir tan me sajaaye guru ko apne bhitaye ke sandal aagaya hai

Meem ka parda jab peer ne rukh se hata diya
Hosh-o-hawaas apne pal me thikane laga diya
Peer peer ka nara lagaye peer me hum mit jaaye ke sandal aagaya hai

Dono jahaan me aaj peer Aadil ka naam hai
Zikr kahi pe hai to charcha kahi pe aam hai
Peer Aadil ko dulha banaaye sehra sarpe sajaaye ke sandal aagaya hai

Aaj Karim-ul-allah chitguppe se aagaye
Dekho Qadir allah noor banke chhagaye
Peer-o-murshid sath me aaye Mehtab allah gaaye ke sandal aagaya hai

Fehmi piya ki chadar nikli hai dekho badi shaan se
Saare malaik isko sarpe uthaye armaan se
Peer Aadil ka jashn manaye nache or gaaye ke sandal aagaya hai

Kabe ka kaba hai ye roza Aadil peer ka
Haj se kam nahi hai Maroof sandal ye peer ka
Peer ke sandal me jo jaaye haji wo kehlaye ke sandal aagaya hai

Sarkar Peer Aadil R.A.
Sarkar Peer Aadil R.A.





No comments:

Post a Comment