Sirr-e-insaan me kya ramz niraala nikla
Mere dum se hi to aalam me ujala nikla
Rakh ke meezan-e-adaalat me do aalam ka jamaal
Tola jo aala se aala mera wala nikla
Khaki parwaaz se hai khub uruje Aadam
Arsh-o-kursi se bhi aala dil-e-baala nikla
Maroof Peer |
Zindagi kat gayi parde ko uthate Saheb
Dum-e-aakhir bhi tera parda nirala nikla
Raah-e-tajreed me tafreek bhi hai shaamil
Ek hi raah me ye kitna faasla nikla
Dard kiya cheez hai ye ishq me malum hua
Chalte chalte jo mere paao me chaala nikla
Wo kisi haal me kamzor nahi ho sakta
Tera aashiq teri aagosh ka paala nikla
Peer fehmi ke jo parde ko utha kar dekha
Gunj-e-makhfi ka mera yaar ujala nikla
Raaz kalme ka samajhna aasan nahi Maaruf
Jab tujhe jaana to munh par mere taala nikla
No comments:
Post a Comment