Peer Maroof, Peer Fehmi |
Peer Maroof |
Tere Dewane Bhala Tujh Ko Bata Kiya Samjhey
Samjhey Banda Ya Bandey Ka Khuda Samjhey
Dhondne Par Bhi Tere Milte Nahi Nakshey Qadam
Kaise Payen Ge Bhala Jis Ka Na Saya Samjhey
Chup Key Nazro Se Magar Nazron May Rahne Wale
Chashme Binai Bani Aankh Ka Parda SamJhey
Shakal Adam Se Ayan Hoti Hai Surat Kis Ki
Samjhe Surat Yeh Meri Ya Tera Naqsha Samjhe
Aa Bhi Jao Mere Is Khanaye Khalwat Main Sanam
Ta Ke Parda Bhi Rahe Jalwe Ka Jalwa Samjhe
Surat Yar Hui Aayena-e-Dil Se Zahir
Arsh-e-Azam Kahi Ya Kabe Ka Kaba Samjhe
Peer Fahmi Ka Hai Yeh Raaz Nahani Uncha
Khak-e-Athar May Chapa Gohar-e-Yakta Samjhe
Aa Gai Dast May Yeh Quwwat-e-Yade Beza
Is Ko Maroof Hum In Ka Hi Sadqa Samjhe
Be-shaq subhan allah
ReplyDeleteagar shmajh ki shmaj se tujh ko na shamjha hota.
ishq o mohabbt kiya hi,kabhina samjha hota.
shukr al hamdo lilah.