Saancha-e-haq me jab zindagi dhal jaayegi
Har ek gumraahi ki aadat bhi badal jaayegi
Mann araf aaine me dekh zara ghaur se tu
Qad araf ki jo haqikat hai badal jaayegi
Surat-e-janaa ko tum dil me basaao pahle
Ghairiyat ki jo jami dhool hai dhul jaayegi
Jis ne dekha nahi is dum me basaa ke dum ko
Hasti-e-aabroo sab khak me dhal jaayegi
Maroof Peer |
Zindagi jaise guzaaro ye to guzre lekin
Le ke duniya se ye aamal ka phal jaayegi
Peer Fehmi ke hi kalme se sajaa le dum ko
Ek hi lamhe me duniya hi badal jaayegi
Ishq ki aag me tum khud ko jalaao Maroof
Soorat-e-janaa me tasveer ye dhal jaayegi
No comments:
Post a Comment