Teri zat-e-paq hai aye khuda teri shaan jalle jalalahu,
Koi kya kare hamd-o-sana teri shaan jalle jalalahu,
Koi kehta tujhko Ram hai koi leta allah naam hai,
Tu hi sab ka hai maalik khuda teri shaan jalle jalalahu,
Jise chahe apna banaye to jise chahe dar dar phiraye tu,
Tere dar pe hai shaah-o-gada teri shaan jalle jalalahu,
Tu hi arsh pe jalwa nashi tuhi farsh pe parda nashi,
Tu hi charsoo jalwa numa teri shaan jalle jalalahu,
Koi banda tera amir hai koi dar ka tere faqir hai,
Tu hi badsha hai jahaan ka teri shaan jalle jalalahu,
Fehmi piya ka ye dar mila jaise khuda ka wo ghar mila ,
Mila peer se hi muddua teri shaan jalle jalalahu ,
Maroof ki rakh tu laaj ko ruswa na kar mohtaj ko,
Mera kaun hai tere siva teri shaan jalle jalalahu,
subhan allah kya noorani chahra hai marhaba,
ReplyDeletejaisa noorani chahra hai waisa hi kalam bhi.
subhan allah.
iss se badrkar kay mangoo my jise maroof milgayah usse khuda milgayah
ReplyDeleteTasveer Apni Dekhle Ek aaina Hoon mai
ReplyDeleteHar Ek Ko apne jaisa Nazaar aa'rahaa hoon mai
Terke wajood kar ke bakha hoo gaya hoon mai
meri nazar se dekh zahoor-e-khuda hoon mai
zaat-o-sifaat aa'sal main aain-ul-wajood hai
habloolwari raza-e-khafi main chupa hoon mai
aapna zahoor apni pechan key leye
iss aalam-e-hayat main bheeja gayeh hoon mai
jis din se tujhe jana zuban hoogayi hai bandh
kaise kahoon ke tera pata janta hoon mai
mera ata pata koyi kay jan-e-sarfaraz
mera pata yahi hai ke khud laa pata hoon mai
sultani kar raha hoon fakri main Sarfaraz
ReplyDeletejaab se mere huzoor Ki nisbat mile Mujhe