Sunday, July 10, 2011

Na Aaya Hu


Peer Maroof

Uruje baam par hu mai nahi jaaunga pasti me
Yahi tha aur yahi par hu numaya apni hasti me

Meri hasti ka har zarrah sunaaye saut-e-sarmad ko
Tadap uthe kayee Mansoor meri ek hasti me

Kisi se me hu paida na koi mujh se hai paida
Na banda hu na maula hu sadaa-e-'hu' ki basti me

Mai tha khud kunt-o-kanzan me to kanzan makhfi tha mujh me
Mai khud baare amaanat ka uthaaya bojh masti me

Hu khud hi aap par shaida hu khud hi aap ka taalib
Mai khud aashiq hu aur maashuq dono ek hasti me

Anaa mujh me Sanaa mujh me Fanaa mujh me Baqaa mujh me
Mai izhaar-e-do aalam hu bulandi ho ya pasti me

Ta'ayyun mere asma'a ka piya Fehmi ho ya Maroof
Ke kherul maakareen bankar hu chhaya Kun ki basti me

No comments:

Post a Comment