Ganj-e khafi se jab kabhi qatra juda huaa
Zaahir ke lot pot se zaahir khuda huaa
Hai ain me hi ghain ka nuqta laga huaa
Nuqte ke beecho beech me kaisa chupa huaa
Sirr-e-khafi me wo sar me aisa maqaam hai
Maroof Peer |
Koi talaash kya kare khud laapata huaa
Do meem ki hi had me Mohammed ka raaz hai
Aadhi kamaan se bhi ye uqdah khula huaa
Hu 'Be'ka nuqtah 'Nun'me aur daal se daakhil
Hijrat kiya hu 'He' se to banda khuda huaa
Rab to wahi hai jis ko samajh lo kamaal-e-ruh
Jab ruh raazi ho gayee raazi khuda huaa
Ye khel peer Fehmi samajhna mohaal hai
Hairaan hu me khud hi tamasha bana huaa
Allahu, Lillah aur Lahu 'Hoo' ko jaan lo
Maroof in mukaamo se mera pata huaa
No comments:
Post a Comment