Sabr-e-Husain ka dekho nazara
Teen din ka bhuka pyasa Ali ka dulara
Noor-e-nabi aap hai
Ibn-e-Ali aap hai
Lakht-e-jigar Fatima
Dilbar -e- Hasan aap hai
Panjatan ka, tum se hi
Ye naksha hai pyara
Ummat ka gham tha qawi
Dube the pyare nabi Sallallaho alaihe wasallam
Aansu ki thi ek jhadi
Ek din bakhshaa hi lenge
wa’ada hai hamara
Likha khuda ka aagaya
Karbala ka din aagaya
Bahattar ka ye qafila
Aagosh-e-gham aagaya
Tapte sehra me tha
woh Mohammed ka pyara
Noor-e-nabi ki chamak
Sher-e-khuda ki jhalak
Saif-ul-allah thi haath me
Tharra gaya ye falak
Jis taraf talwar thi
Tharraya aalam saara
Aayi Nida ghaib se
Waada-e-wafa kijiye
Sar ko kata dijiye
Ummat ki khatir nibhaya
Waada nyara
Teero se channi Husain
Teghon se zakhmi Husain
Neze pe sar the Husain
Sunte the sab ki Husain
Karbala bhi cheenkh uthi
Dekh kar nazara
Sakina ki aas ho
Zainab ki laaj ho
Chacha ho kaasim ke tum
Shahido ke sartaaj ho
Aabedin bole
Pyaare baba hamara
Aisa na sajdah kiyaa abtak kisne kabhi
Bhule gi na zameen phir aisa sajdah kabhi
Aaj bhi hai taazah dekhu sajdah tumhara
Ramze shahaadat hai ye
Fehmi inaayat hai ye
Ummat ko tha bakhshana
Kaisi hikmat hai ye
Ek sajdah ke liye tha
Karbalaa ye saaraa
Maroof shahadat husain
khune jigar se likhe
Hum hai ghulame husain
jaari hai ye silsile
Waqte akhir hum ko bhi ho
Aap ka nazara
No comments:
Post a Comment