Humare peshwaye kutb-e- daura peer Aadil ka
Hare gumbad ki barkat se hara hai bijapur apnaa
Jami arwaa ka markaz darakhsha peer Aadil ka
Bana hai kabaye isshaq tera rozaye athar
Tawaaf wo sajdah hoga jane janaa peer Aadil ka
Sabak wallail padhne ko chupayaa yaar ne chahra
sarapaa maujza hai range irfaa peer Aadil ka
Tumhare naksh paa se milgayaa hai dar wilaayat ka
qadam mohr-e- wilaayat noor imaan peer Aadil ka
Yehi ajmer aashik ka yahi baghdaad apna hai
mukaam ahle nisbat sang jaanaa peer Aadil ka
bada kaam aata hai nisbat ka saamaa peer ke aashik
saro pe apne lehraye ga daamaa peer Aadil ka
Nigahe peer Fehmi me nazar woh agayaa jalwa
Dil-e-aashik ki thandak ruhe taabaa peer Aadil ka
Khizr khud dhunta hai aap ke dar ka pata Maroof
Badi oonchi jaga hai mahele irfaa peer Aadil ka
No comments:
Post a Comment