Ek Adil kya milgaye Zindagi bandagi ho gayee
Dil andhera tha abtak Roshni roshni ho gayee
Woh nazar se pilaye hume Mast bekhud banaye hume
Maikade ki na haajat rahi Bin piye maikashi ho gayee
Phanse hirs-o-hawas me kabhi Phanse bugz-o-hasad me kabhi
Peer kaamil aisa mila Baa safa zindagi ho gayee
Ek nafs ana ka makr fakhr karte the jispar magar
Jab ana ko fana kar diyaa Be khudi ba khudi ho gayee
Bandagi ka mazah aa gayaa Zindagi ka mazah aa gayaa
Khud me khud ka pata kya mila Har taraf roshani ho gayee
Peer Fehmi hamare liye Roshni ka hi ek naam hai
unki nisbat ka hai ye sila Zindagi bandagi ho gayee
Kya haqiqat hamari kahe Bahre zulmat me hum the pade
Ye hai maroof unka karam Raat bhi chaandni ho gayee
Ye hai maroof unka karam Raat bhi chaandni ho gayee
DIGITAL MARKETING Learn From Yesterday, Live For Today, Hope For Tomorrow. You Have To Do The Right Thing. "Change What You Can" - ❤️ Iliyas Shaikh ❤️ ["If You Can't Explain It Simply, You Don't Understand It Well Enough."] -Albert Einstein
ReplyDelete