Peer Maroof |
Peer Maroof |
Wo baare amaanat ka wazan tol raha hu
Good di se apni laal gohar khol raha hu
Nukte ka bhed raaz-e khafi khol raha hu
Parde me chupa hu magar bol raha hu
Zaat nabi hai zaate khuda zaate peer bhi
Teeno ko ek dam me hi ghol raha hu
Ganje khafi hai mere hi andar chupa hua
Is waaste har daur me anmol raha hu
Shetaa se maine pucha hai aadam ka raaz kya
Shetaa bola jab se mai laa hol raha hu
Fehmi piya ki chashme inaayat ka faiz hai
Ashaar ki surat me haq bol raha hu
Meeza-ne maarefat me to Maroof tol kar
Allah nabi ka kitna wazan bol raha hu
No comments:
Post a Comment