Maroof Peer |
Khayaal-e-yaar ki tasveer hu mai
Ke apne yaar ki Tanveer hu mai
Jo dekha yaar ne Roz-e-azal me
Usi hi khwab ki taabir hu mai
Mujhe samjho na tum ek masht-e-khaaki
Saraapa noor ki tasveer hu mai
Khird wale ulajh kar reh gaye hai
Junoon-e-ishq ki tafseer hu mai
Na wo mujh se juda na me alag hu
Usi zanjeer ki zanjeer hu mai
Kaha Mansoor ne wo me nahi hu
Mere dildaar ki takreer hu mai
Hadees mann araf ka hu khulasa
'Ha' apne aap me jaagir hu me
Mujh hi se ibteda aur inteha hai
Hayaat-o-maut ki taamir hu mai
Hai sar par peer Fehmi saaya afgun
Ke paaye khak ki akseer hu mai
Badalti raheti hai taqdeer Maroof
Har ek shaye me chhupi tadbeer hu mai
No comments:
Post a Comment