Sunday, July 10, 2011

DAROOD-E-PAAK

Allahumma salleala Mohammadin Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Pyare nabi ko haq ne bulaya Arshe bari ko apne sajaya
Apne noor ki chadar bichaya Rab ne nabi ko ispe bithaya
Haq ne khushi se masarda sunaya.........

Allahumma salleala Mohammadin Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Noor-e-Mohammed noor-e-khuda hai Shaane Mohammed shaane khuda hai
Deede Mohammed deede khuda hai Sirr-e-Mohammed sirr-e-khuda hai
Saare nabiyon me rutba badhaya.........

Allahumma salleala Mohammadin Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Zaahir kabhi hai baatin Mohammed Awwal kabhi hai aakhir Mohammed
Kaise batau ke kya hai Mohammed Har dum who jalwa numa hai Mohammed        
Dono  jahan me saani na saaya.........

Allahumma salleala Mohammadin Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Mere nabi hay arsh ki izzat Mere nabi hay farsh ki zeenat
Mere nabi hay rab ki qudrat Mere nabi hay sahib-e-azmat
Noore nabi se sab hay banaya.........

Allahumma salleala Mohammadin Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Mere nabi quraan  hai laaye Mere nabi irfaan  hai laaye
Mere nabi  imaan  hai  laaye Mere nabi  nishaan  hai  laaye
Daaman me unke sab kuch hay aaya.........

Allahumma salleala Mohammadin Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Taaj-e-shifa’at pahen ke aaye Shaan-e-nabu’uat saath me laaye                    
Karne imamat farsh pe aaye Dars-e-tariqat sab ko padhaaye
Farsh pe arsh ka naksha dikhaaya.........

Allahumma salleala Mohammedun Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Kahi bane woh Aadam safi hai   Kahi bane woh Nuhe Nabi hai
Kahein bane woh Musa nabi hai Kahein bane woh Maula Ali hai
“Meem” key parde me kiya kiya chupaya.........

Allahumma salleala Mohammadin Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Pyare nabi ke sadqe me maula Aale nabi ke sadqe me maula
Ibn-e-Ali ke sadqe me maula Apne wali key sadqe me maula
“bakhsh de hum ko bhi tu Khudaya.........

Allahumma salleala Mohammadin Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Fehmi piya ke saaye me aaya Noore nabi ko inme hai paaya
Allah Nabi se dum ko sajaaya Salleala se jhula jhulaaya
Maroof noor ka sajda karaaya.........



Madina Sharif


 

No comments:

Post a Comment