Sunday, July 10, 2011

BISMILLAH


Maroof Peer
Shuru ‘Be’ se kalam Bismillah
Raz-e-haq ka muqaam Bismillah

Jo bhi dilse padega Bismillah
Is pe  dozak  haram Bismillah

Meri rag rag me hai nasha yaaro
Pee liya jabse jaam Bismillah

Baksh de baksh de mere maula
Mile jannat mukaam Bismillah

Mere maula tu sabko nek bana
Nek ho sab ke kaam Bismillah

“Be” se qaalu bala ko yad karo
Hai ye pehla kalam Bismillah

Kyu na uske banege bigde kaam
Jo pade subah-o-shaam Bismillah
Peer Maroof

Baa yazeed ko ye humne kahte suna
Aarifo ka hai naam Bismillah

Bheje mehboob par gulamo ne
Ho darud-o-salaam Bismillah
Peer Fehmi ke haato me mehshar me
Mile kausar ka jaam Bismillah

Dua dil se karo Maroof
Sab pe rehmat ho aam Bismillah

Hamd Sharif

Kabatullah
  
Teri zat-e-paq hai aye khuda teri shaan jalle jalalahu,
Koi kya kare hamd-o-sana teri shaan jalle jalalahu,

Koi kehta tujhko Ram hai koi leta allah naam hai,
Tu hi sab ka hai maalik khuda teri shaan jalle jalalahu,

Jise chahe apna banaye to jise chahe dar dar phiraye tu,
Tere dar pe hai shaah-o-gada teri shaan jalle jalalahu,

Tu hi arsh pe jalwa nashi tuhi farsh pe parda nashi,
Tu hi charsoo jalwa numa teri shaan jalle jalalahu,

Koi banda tera amir hai koi dar ka tere faqir hai,
Tu hi badsha hai jahaan ka teri shaan jalle jalalahu,

Fehmi piya ka ye dar mila jaise khuda ka wo ghar mila ,
Mila peer se hi muddua teri shaan jalle jalalahu ,

Maroof ki rakh tu laaj ko ruswa na kar mohtaj ko,
Mera kaun hai tere siva teri shaan jalle jalalahu,

NAATE MOHAMMED SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM


Noor-e-Mohammed noore khuda hai sallallaho alaihe wasallam,
Mohammed ko samjho na haq se juda hai sallallaho alaihe wasallam,

Mohammed ko chaha wo chaha khuda ko Mohammed ko bhula wo bhula khuda ko, Mohammed ko dekha wo dekha khuda hai sallallaho alaihe wasallam,

Mohammed ko samjha wo samjha khuda ko Mohammed ka paya wo paya khuda ko, Sirr-e-Mohammed   Sirr-e-khuda   hai sallallaho alaihe wasallam,

Allah hai dariya nabi bulbula hai nuqte me “Be” ke bhed chupa hai,
Mohammed  hai upar niche khuda hai sallallaho alaihe wasallam,

Meem ka parda utha kar to dheko kaun nabi aur kaun khuda hai,
Mohammed nabi hai Mohammed khuda hai sallallaho alaihe wasallam,

Peer Mohammed  Peer khuda hai Fehmi piya se ye ukdah khula hai,
Har shay me peer hi jalwa numa hai sallallaho alaihe wasallam,

Mohammed ka jalwa hai jalwa khuda ka Mohammed ka banda hai banda khuda ka,
Maroof  ye to haq ki sada hai sallallaho alaihe wasallam,


Madina Munawwara


DAROOD-E-PAAK

Allahumma salleala Mohammadin Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Pyare nabi ko haq ne bulaya Arshe bari ko apne sajaya
Apne noor ki chadar bichaya Rab ne nabi ko ispe bithaya
Haq ne khushi se masarda sunaya.........

Allahumma salleala Mohammadin Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Noor-e-Mohammed noor-e-khuda hai Shaane Mohammed shaane khuda hai
Deede Mohammed deede khuda hai Sirr-e-Mohammed sirr-e-khuda hai
Saare nabiyon me rutba badhaya.........

Allahumma salleala Mohammadin Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Zaahir kabhi hai baatin Mohammed Awwal kabhi hai aakhir Mohammed
Kaise batau ke kya hai Mohammed Har dum who jalwa numa hai Mohammed        
Dono  jahan me saani na saaya.........

Allahumma salleala Mohammadin Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Mere nabi hay arsh ki izzat Mere nabi hay farsh ki zeenat
Mere nabi hay rab ki qudrat Mere nabi hay sahib-e-azmat
Noore nabi se sab hay banaya.........

Allahumma salleala Mohammadin Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Mere nabi quraan  hai laaye Mere nabi irfaan  hai laaye
Mere nabi  imaan  hai  laaye Mere nabi  nishaan  hai  laaye
Daaman me unke sab kuch hay aaya.........

Allahumma salleala Mohammadin Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Taaj-e-shifa’at pahen ke aaye Shaan-e-nabu’uat saath me laaye                    
Karne imamat farsh pe aaye Dars-e-tariqat sab ko padhaaye
Farsh pe arsh ka naksha dikhaaya.........

Allahumma salleala Mohammedun Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Kahi bane woh Aadam safi hai   Kahi bane woh Nuhe Nabi hai
Kahein bane woh Musa nabi hai Kahein bane woh Maula Ali hai
“Meem” key parde me kiya kiya chupaya.........

Allahumma salleala Mohammadin Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Pyare nabi ke sadqe me maula Aale nabi ke sadqe me maula
Ibn-e-Ali ke sadqe me maula Apne wali key sadqe me maula
“bakhsh de hum ko bhi tu Khudaya.........

Allahumma salleala Mohammadin Ya rabbe sallu alaihi wasallam
Fehmi piya ke saaye me aaya Noore nabi ko inme hai paaya
Allah Nabi se dum ko sajaaya Salleala se jhula jhulaaya
Maroof noor ka sajda karaaya.........



Madina Sharif


 

MOHAMMED SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM AAGAYE HAI


Masjid-e-Nabvi


Huro malaika dhoom machaye salleala ko sunaye Mohammed aagaye hay
Amina bi ke bal bal jaye noor se ghar ko sajaye Mohammed aagaye hai

Rab ke  piyare hai naam Mohammed paagaye
Noore khuda ka jalwa banke jagme aagaye
Khushbu se aalam mehkaye rehmat ko barsaaye Mohammed aagaye

Arshe bari ko aaj noor se haq ne sajayaa diya
Farshe zameen ka bhi rutba rab ne badhadiya
Rehmat-e-haq bhi wari jaye Allah sadkah lutaye Mohammed aagaye hai

Rukh pe nabi ke mere noore khuda ka jamal hai
Har  ek   kamal   wala   paaye   inse   kamal   hai 
Aise nabi ko jo bhi paaye kyu na woh itraye Mohammed aagaye hai

Noor ka jhula jab daste haq ne bana diya
Noor ka bistar bhar haq ne isme bicha diya
Noor ki dori isme lagaye jhula nabi ko jhulaye Mohammed aagaye hai

Saare payamber me aap ka aala mukaam hai
Rab ka har wali aap ke dar ka gulam hai
Aap ke dar se rutba paaye pal me wali hojaye Mohammed aagaye hai

Aalam-e-arwah ka maujzah hai ye bakhuda
Saf baa’adab khade the sare ambiya-o-aoliya
Gause aazam kandha lagaye khwaja sar ko jhukaye Mohammed aagaye hai

Fehmi piya ka jab noori silsila milgaya
Dono jahan ka aaj hum ko wasila milgaya 
Kalma banke damme aaye har damme kehlaaye Mohammed aagaye hai

Unpe daroo’do ka bhejo tohfa piyaar se
Roshan hum bhi hai maroof issi sarkar se 
Ishq-e-nabi ki shama jalaye noore nabi me nahaye  Mohammed aagaye hai

SIFAAT-E- MOHAMMED SALLALLAHU ALAIHE WASALLAM

Sifaat-e-khuda hai sifaat-e-Mohammed Sallallaho alaihe wasallam
Khuda khud hai goya bazaat-e-Mohammed Sallallaho alaihe wasallam

Khudayee bhi raksaa hai chaaro hurf me
Zahur-e-do aalam sifaat-e-Mohammed Sallallaho alaihe wasallam

Mohammed hi wahdat Mohammed hi kasrat
Khuda khud hai zaahir bazaat-e-Mohammed Sallallaho alaihe wasallam

Woh noor-e-haqeeqi hai noor-e-mujassam
Zara khud me dekho sifaat-e-Mohammed Sallallaho alaihe wasallam

Woh Mehbood ban kar hai zer-e-zameen me
Khula hum pe uqdah mama’at Mohammed Sallallaho alaihe wasallam

Madine ki mitti ka sadqah hai sab kuch
Mili peer fehmi hayat-e-Mohammed Sallallaho alaihe wasallam

Tassawur me aane lage hai Mohammed Sallallaho alaihe wasallam
Aye maroof padhlo salaat-e-Mohammed Sallallaho alaihe wasallam

Madina Munawwara

MOHAMMED KHUDA HAI

Kalma-e-Tayyaba


Mohammed khuda hai khuda hai Mohammed
Khuda se bata kab Juda hai Mohammed

Khuda noore Ahmed se roshan hua hai
Haqeeqat me haq ki ziya hai Mohammed

Libase Mohammed hai baatin me Allah
Khuda banke jalwa numa hai Mohammed

Gaye laa makaa me hai pal me Mohammed
Makaa laa ’makaa ka pata hai Mohammed

Har ek zarra-zarra gawa bangaya hai
Khula raaz haq-ul-wara hai Mohammed

Mohammed hai zaahir Mohammed hai baatin
Mohammed hi jalwa numa hai Mohammed

Mile peer Fehmi Mohammed ke ghar se
Bataye hame raaz Kya hai Mohammed

Mohammed ka naksha hai aankho me maroof
Ke dil ka wazifa bana hai Mohammed

SHAHADAT-E-HUSAIN Raziallahuta’ala anhu


Sabr-e-Husain ka dekho nazara
Teen din ka bhuka pyasa Ali ka dulara
Noor-e-nabi aap hai
Ibn-e-Ali aap hai
Lakht-e-jigar Fatima
Dilbar -e- Hasan aap hai

Panjatan ka, tum se hi
Ye naksha hai pyara
Ummat ka gham tha qawi
Dube the pyare nabi Sallallaho alaihe wasallam
Aansu ki thi ek jhadi
Imam Hussain Dargah Sharif
Bole phir ibn-e-Ali
Ek din bakhshaa hi lenge
 wa’ada hai hamara

Likha khuda ka aagaya
Karbala ka din aagaya
Bahattar ka ye qafila
Aagosh-e-gham aagaya
Tapte sehra me tha
woh Mohammed ka pyara

Noor-e-nabi ki chamak
Sher-e-khuda ki  jhalak
Saif-ul-allah thi haath me
Tharra gaya ye falak
Jis taraf talwar thi
Tharraya aalam saara

Aayi Nida ghaib se
Waada-e-wafa kijiye
Mazar-e-Mukaddas Imam Hussain R.D.A
Sajde me Ibn-e-Ali
Sar ko kata dijiye
Ummat ki khatir nibhaya
Waada nyara

Teero se channi Husain
Teghon se zakhmi Husain
Neze pe sar the Husain
Sunte the sab ki Husain
Karbala bhi cheenkh uthi
Dekh kar nazara

Sakina ki aas ho
Zainab ki laaj ho
Chacha ho kaasim ke tum
Shahido ke sartaaj ho
Aabedin bole
Pyaare baba hamara

Aisa na sajdah kiyaa abtak kisne kabhi
Bhule gi na zameen phir aisa sajdah kabhi
Aaj bhi hai taazah dekhu sajdah tumhara
Imam_Hussain_Shrine

Ramze shahaadat hai ye
Fehmi inaayat hai ye
Ummat ko tha bakhshana
Kaisi hikmat hai ye
Ek sajdah ke liye tha
Karbalaa ye saaraa

Maroof shahadat husain
khune jigar se likhe
Hum hai ghulame husain
jaari hai ye silsile
Waqte akhir hum ko bhi ho
Aap ka nazara

Manqabat Ghausulwara



Gause Aazam R.A.


Baghdad wale aaqa parda zara hatao
Mehfil me apni aao bigdi meri banao

 Sar pe hai taj  tera haato me paak daaman
 Sadqe me "Busaeed" ke meri ghairiyat mitao

Hai tumhara haat mera, mera haat hai tumhara
Ye quraan keh raha hai naadaan ko batao

Hai nazre tumhari kaba hai tumhara dil madina
tum noor ho sarapaa mujhe noor me milao

Sab aafate balaye bimari har mitegi
Gausulwara ka narah dil se zara lagao

Tere naam ki hai nisbat jo mai Quadri bana hu
Rakho laaj Quadri ki nisbat ko tum nibhao

Hai chiraage Quadri hum roshan hai dono aalam
Is roshani me aaya roshan use banao

Gyara adad me raaze Gausulwara chupa hai
Tum raaz ko ye paakar sar ko wahi jhukao

Pirane peer bole laa khauf aye murido
Himmat agar hai tum me hum se nazar milao

Noorani silsila hai Fehmi piya ka mere
Nisbat ki khak me ab Rehmat ke gul khilao

Ye Gaus ki ataa hai ye Gaus ka karam hai
Sarkar jis ko chaho Maroof use banao

Inside Mazar Sharif

Manqabat Ghaus-e -Aazam

Dargah Sharif of Gause Aazam R.A
  

Ghause Aazam dastagir Allah hu Allah
Tum ho peero ke bhi peer Allah hu Allah
Naqsha  pyara hai dilgeer Allah hu Allah

Dozakh ka ab khauf nahi hai na mehshar ka gham
Abdul Qadir Jeelani jab rakhte hai apna bharam
Hum, hai Quadri Faqeer Allah hu Allah

kalma dam me aate hi hum noorani keh laaye
Farshe zameen se arshe bari hum dam me aaye jaaye
kalma Ghaus ki jaageer Allah hu Allah

Ham me dam  hai dam me tum ho tum me noor hai zam
Ham dam ka raaz banke noor hai noor me gum
Laakho murshid ek peer Allah hu Allah

Andha dekhe gunga bole kodi achcha ho jaaye
Laakh karishme ek nazar me Ghaus piya dikhlaaye
Nazre Gaus ki akseer Allah hu Allah

Abd bhi hai Quadir bhi hai Abdul Quadir Jeelani
Allah nabi ke noor se woh ho gaye noorani
Tum ho noor ki tasveer Allah hu Allah

Jaan liya hu maan liya  pehchan liya nazar ko
kharka taaj pahen ke baithe dekhlo idhar ko
ban ke aaye Fehmi peer Allah hu Allah

Aap ki hi nisbat se hum Quadri keh laaye
Banda Maroof aapka sar chaukat pe jhukaaye
Dedo Irfaa ki Jaageer Allah hu Allah




 Mazare Mubarak_Ghaus-e-Pak R.D.A

Manqabat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alaih



Dargah Hazrat Khwaja Garib Nawaz R.A

Khwaja hind ke sarkar Allah re Allah
Saare waliyo ke dildar Allah re Allah
Unpe tann mann hai Nisar Allah re Allah

Allah ki surat chupi hai Khwaja ki surat me
Yani dono noor samaye ek hi murat me
Mohini surat me dildar Allah re Allah

Kalme ka Irfaa leke Khwaja hind me aaye
Allah nabi ka raaz saara pal me hai bat laaye
Banda Allah ka Ghar baar Allah  re Allah

Khwaja Khwaja kehte khete Allah ko hum paaye
Aate jaate dam me hum khwaja ko samaaye
Khwaja kehne wale paar Allah re Allah

Andar Khwaja bahar Khwaja Awwal aakhir khwaja
Hu-ul-Murshid Anta-l-Murshid baatin zaahir khwaja
Khud me Khwaja ka deedar Allah re Allah

Had Bole to Khwaja hai unhad bole to Khwaja
Laa makaa ke bich me dekhne ko ajaa
Zarre Zarre me hai yaar Allah re Allah

Maangne wale khade Khwaja tumhare dar par
Usmaan ka sadka mile khawaja tumhare dar par
ooncha noorani darbaar Allah re Allah

Khwaja-e-Fehmi piya bas ek nazar ho sab par
tann mann ki ab jholi bhardo khwaja piya ke dil bar
kardo sab ka beda paar Allah re Allah

Banda nawaazi farmao banda nawaaz khwaja
Ruye zaibaa dikhlao banda Nawaaz Khwaja
Maroof Khwaja ko pukar Allah re Allah

Mazar Sharif Khawaja Garib Nawaz R.A.

Quadri Dhoom



Aastana-e-quadeer


Ghar Ghar me machi dhoom hai Allah Quadir ki
Shohrat hai do jahaan me kaamil Faqeer ki

Aate hai sar jhukane yaha Auliya sabhi
Surat Quadir hogai peerane peer ki


Halkatta bana dekhiye woh Faiz ka shaher
Shaane karimi hai dua dastagir ki


Jalwa Quadiri dekh kar munkir bhi dang hai
Kya shaan hai shaukat hai ye mere Quadir ki

Allah kasam ban gayaa woh waqt ka wali
Jispe inaayat ho gayi roshan zameer ki

Aisa nasha hai jiska utarna mohaal hai
Hum ne sharaab pili hai peerane peer ki

Ab kis ki inaayat ho ab kis ka ho karam
Kafi hai mujpe ek nazar ye Fehmi peer ki

Wasf-e-Quadir Maroof kaise bayaan karu
Milti nahi Nazeer us be nazeer ki     


Sayyed Mohammed Badshah Quadri
Yamni Qadeer R.A.
Halkatta Sharif










Mazar Sharif Hazrat Badshah Quadri